Showing posts with label shayari. Show all posts
Showing posts with label shayari. Show all posts

Friday, June 27, 2025

Shayaris- 3

 

Sharing a couple of beautiful shayaris from the internet:


1. This one was so simple yet profound, I had to post it, the name of poet is not available, however, it can be heard at: https://www.instagram.com/reel/DGdh2UuvlU5/?igsh=MWRpZmUyMjQzNGM1Mw%3D%3D

this is the shayari:

“Masla yeh hai ki is dil ka aakhir kya kiya jaaye?

Usse baat karni hai ya nahi, kisi se mashwara liya jaaaye

Fir dil bhi gawara nahi karta, ki mehfil me uska zikr kiya jaaye

Aakhir Mohabbat hai vo hamari, use badnaam na kiya jaaye

Par ab uski qaid me nahi rehna, khud ko azaad kiya jaaye

Uske diye huye tohfe aur khat sab ab jala diye jaaye..

Yahan tak to theek tha, abhi ek masla aur bhi hai..

Sab yaadein to fana kar di,

Par is chaand ka kya kiya jaaye….”


2. 

“लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में…”


हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में..”

-- Bashir Badr


Saturday, May 3, 2025

Beautiful Shayaris-2

 

Sharing some shayaris selected from the internet by various poets which I find particularly moving and quite deep...

Here are few of them:


1.  The first one literally goes deep in the tarjuma of what shayari is- almost an attempt from an amazing poet...Ahmed Salman...The shayari lines are below:


"jo dikh raha usi ke andar jo andikha hai vo shayari hai

jo keh saka tha vo keh chuka hoon, jo rah gaya hai vo shayari hai

ye shahr saara to roshni men khila pada hai, so kya likhun main

vo door jangal ki jhonpdi men jo ik diya hai, vo shayari hai

tamam dariya jo ek samundar mein gir rahe hain to kya ajab hai

vo ek dariya jo raste men hi rah gaya hai, vo shayari hai...."


And the link of the poet reciting it is:

 https://www.instagram.com/reel/DHBWZ0rBcUc/?igsh=NXR6Yzdnc2xjenNl


2. Another one whose recitation by the poet is available here:


The actual lines are as follows:

"dekhe huye kisi ko bahut din guzar gaye

is dil ki bebasi ko bahut din guzar gaye

har shab chhaton pe chaand utarta to hai magar,

is ghar mein channdni ko bahut din guzar gaye....




3. This one is short yet is quite true...

"aahista aahista khatam.. hona hi hai

gam ko ya fir..hum ko...."


https://www.youtube.com/shorts/VCwY0w6g17M



4. This one by poet Shakeb Jalali is particularly close to me...

"socho to silvaton se bhari hai tamaam rooh

dekho to ik shikan bhi nahin hai libaas mein"

 सोचो तो सिलवटों से भरी है तमाम रूह

देखो तो इक शिकन भी नहीं है लिबास में

-Shakeb Jalali

Friday, May 2, 2025

Beautiful Shayari-1

 


Sharing a couple of  beautiful and heart-touching Shayaris from internet: 

1. Here is the link of its recitation:

टूटना 💔Podcast Shayari #shayari #2linespoetry #urdupoetry #podcastshayari

the lines of the Shayari are as follows from the recitation:


"tootne par koi aaye to fir aise toote,

ke jise dekh ke har dekhne wala toote,

apne bikhre huye tukdon ko samete kab tak,

apne bikhre huye tukdon ko samete kab tak,


ek insaan ki khatir koi kitna toote?....."


2.  Another one, sharing some stanzas which I find especially too deep and beautiful:

"हक़ीक़त दीदा-ए- तर के अलावा भी बहुत कुछ है
समुंदर में समुंदर के अलावा भी बहुत कुछ है...

अब अगली बार आना तो बदन को छोड़ कर आना
मेरे कमरे में बिस्तर के अलावा भी बहुत कुछ है...


ये क्या इक मक़बरे को आख़री हद मान बैठे हो
मुहब्बत संग-ए-मरमर के अलावा भी बहुत कुछ है"

- ज़ुबैर अली ताबिश 


3. Another one- can be heard here at this link: https://www.instagram.com/reel/DGYKMr3pU4u/?igsh=MWhwY2ZieDlsOTFieQ%3D%3D

"kisi ko mohabbat ho na kisi ke saath 

hota mushqil hai 

bada mushqil hai..

mohabbat ki kahani likhna

jaise pani par.. pani se.. pani likhna...


mohabbat dard deti hai,

mohabbat jaan leti hai,

mohabbat naam e zindagi hai,

magar imtehaan leti hai


mohabbat to hoti

apni tabiyat aur fitrat hai,

mohabbat zid nahi karti,

mohabbat maan leti hai."

Monday, March 31, 2025

Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe......

 

I could not stop myself from sharing a song, a ghazal in particular, which I literally heard after several decades-a sense of instant nostalgia and harmony gripped me when I heard the lyrics and music.

The lyrics of this song are so reminiscent of me and my heart...First of all, I would like to post the beautiful lyrics:

"ye arzoo thi ki haskar koi mila hota,
kahi to humse kisi ka dil aashana hota
kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe
gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe


saba bhi layi na koyi payam apno ka
suna rahi hai fasane idhar udhar ke mujhe
gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe
kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe


maf kijiye, jo mai ajnabi hu mehfil me
ke raste nahi malum is nagar ke mujhe
gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe
kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe


wo dard hai ke jise seh saku na keh pau
milega chain to ab jaan se gujarke mujhe
gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe
kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe"

Here is the song link (Due to copyright issues, it is so difficult to embed the youtube link)

The link is here:

(37) Kisi Ne Bhi To Na Dekha Nigah Bhar Ke Mujhe - YouTube

Enjoy with an open heart....