I am sharing some of very beautiful melodies (all Hindi), particularly as there is a common chord in all of them as they all are songs based on longing and search for the one (Beloved) by the other one (who has not yet crossed paths with the other). The first two are from the eyes of the female (as in searching incessantly for the other half) while the remaining are from the eyes of the male. Interestingly, all songs are the ones I have always listened to and thought of putting them together as the lyrics illustrate the depth of emotions and are one of the finest poetries I have come across.
1.
Nazren
Dhoondhe Saajan Ko {HD} Video Song | Hameshaa | Saif Ali Khan, Kajol | Alka
Yagnik, Ila Arun
This song is from an amazingly haunting movie (which has one of the most melodious soundtracks I have heard) and as per the storyline, it is based on the heroine's incessant longing for the beloved. The lyrics are simple and profound...
The lyrics are:
"nazre nazre dhunde dhunde sajan ko
hay hay ram dhunde dhunde sajan ko
ye bindiya bole aaja, ye kangna bole aaja
payaliya bole aaja aaja
na tarsa apni sajni ko
pawan ke jhoke goli mare
pee ki yaad dilaye
sajna se ye sawre badra
sawan me ghir aaye
holi aaye holi jaye
ab jali holi holi
rang baithi hu sajna ke rang me
apni chunariya choli
aayi diwali sabke bhawan me
lakho deep jalaye
nainan deep jalakar baithi
bina palak jhapkaye
rahi re dhunde dhunde sajan ko
hay hay ram dhunde dhunde sajan ko
ye nathni bole aaja, ye mehndi bole aaja
ye kajal bole aaja aaja
na tarsa apni sajni ko
nazre dhunde dhunde sajan ko
hay hay ram dhunde dhunde sajan ko.."
"Meri subahon ko teri shaamon ka
Meri shaamon ko tere vaadon ka
Meri raaton ko tere khwaabon ka
Meri neendon ko teri baahon ka
Mere jazbon ko teri chahon ka
Behki behki si kuch khataon ka
Khoobsurat se kuch gunaahon ka
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Apne dilbar ka, apne humdum ka,
apne jaanam ka intezaar
Surkh phoolon se mehka rasta hai
Dil toh mera magar zard patta hai
Paas aankhon ke sabz manzar hai
Dil ka mausam toh phir bhi banjar hai
Mehki mehki si kuch hawaon ka
Bheegi bheegi si kuch ghataon ka
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Apne baadal ka, apni baarish ka, apne saawan ka intezaar
Apni dhadkan ka, apni saanson ka, apne jeene ka intezaar
Koi badli kabhi is tarah aayegi
Pyaas sadiyon ki pal mein bujh jayegi
Tujhko lauta ke meri aagosh mein
Dekhna waqt ki nabz tham jayegi
Aisa hone ki kuch duaon ka
Umr bhar joh mile un panahon ka
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Tere aane ka, tujhko paane ka, phir na jaane ka intezaar
Tere aane ka, tujhko paane ka, phir na jaane ka
Intezaar………"
3.
Aye Ajnabi Tu bhi kabhi (HD) Full Video song
This song (composed by AR Rahman) with its hauntingly beautiful tune and lyrics is a very popular song from the movie Dil Se. Here are its lyrics:
"Roz Roz Resham Si Hawa Aate Jaate Kehti Hai Bata
Resham Si Hawa Kehti Hai Bata
Woh Jo Doodh Dhuli Masoom Kali
Woh Hai Kahan Kahan Hai
Woh Roshni Kahan Hai Woh Jaansi Kahan Hai
Main Adhoora Tu Adhoori Jee Rahein Hain
Aye Ajnabi Tu Bhi Kabhi Aawaaz De Kahin Se
Main Yahan Tukdon Mein Jee Raha Hoon
Tu Kahin Tukdon Mein Jee Rahi Hai
Tu To Nahin Hai Lekin Teri Muskurahatein Hain
Chehra Kahin Nahin Hai Par Teri Aahatein Hain
Tu Hai Kahan Kahan Hai
Tera Nishaan Kahan Hai
Mera Jahan Kahan Hai
Main Adhoora Tu Adhoori Jee Rahein Hain"
4. Jaane Kisne - Chetan Shashital, Shiamak Davar | Love Song
This is a famous pop song of the 90s era and luckily its original video was available online. The song was sung by Shiamak Davar who is more popularly known for his choreography all over the world although he is an amazing singer and a spiritually inclined person... He is blessed with beauty and a unique voice tone which is very soothing. In the song video, he is shown as the musician he is, playing the piano, and composing a song but always having the search for the one back in his mind, as the lyrics depict..and finally he does find that woman...
"Kiski Khusboo Hai
Meri Saanson Mein
Mehki Mehki Si
Jaani Jaani Si
Dil Tha Abhi Seene Mein
Isko Churaya
Jaane Kisne
Kiski Surat Hai
Meri Aakhon Main
Halki Halki Si
Pyari Pyari Si
Dil Tha Abhi Seene Main
Isko Churaya
Jaane Kisne
Woh Kaun Hai Jiske Aahon Ko Takti Hai Nazar
Woh Kaun Hai Jisne Kiya Hai Mujhko Khud Se Bekhabar
Woh Kaun Hai Hai Mere Pal Pal Mein Shamil Hai
Woh Kaun Hai Jo Meri Manzil Hai
Woh Kaun Hai Jise Mein Sunna Chahta Hoon Dekhna Chahta Hoon
Mere Kaano Main
Goonjti Hai Jo
Meethi Meethi Si Kiski Boli Hai
Dil Tha Abhi Seene Main
Isko Churaya
Jaane Kisne
Kiski Khusboo Hai
Meri Saanson Mein
Mehki Mehki Si
Jaani Jaani Si
Dil Tha Abhi Seene Mein
Isko Churaya
Ban Ke Saaya Mere Sang Rehta Hai Kaun
Maine Ye Na Jana Kabhi
Aisa Na Tha Haal Mera
Haal Ye Mera Hua Hai Abhi
Woh Khwab Hai Ya Haqeeqat Hai
Woh Jo Bhi Hai Meri Zaroorat Hai
Zaroorat Hai"
5.
O Saathi Re Tere Bina (Male) Full 4K Video | Muqaddar ka Sikandar | Rekha/Amitabh | Kishore Kumar
This is a song from an old Hindi movie which was a very famous movie in that era. This song was sung by the legendary Indian singer Kishore Kumar, and I remember having this song playing in the cassette with my other favorite songs in my childhood. The intensity of emotions of the lyrics and the music of this song is simply sublime.
“Har dhadkan me pyaas hai teri
Saanso me teri khushboo hai
Is dharti se us ambar tak
Meri nazar me tu hi tu hai
Pyar ye tute na, tu mujhse ruthe na
Saath ye chhute kabhi na
Tere bina bhi kya jina
O saathi re, tere bina bhi kya jina
Tujh bin jogan meri rate
Tujh bin mere din banjare
Mera jeevan jalti dhuni
Bujhe bujhe mere sapne sare
Tere bina meri, mere bina teri
Ye zindagi zindagi na
Tere bina bhi kya jina
O saathi re,
Tere bina bhi kya jina…”
No comments:
Post a Comment