Sunday, March 8, 2026

A beautiful Sufi kalam- Ishq ka Sajda...

 

Sharing a very soulful Sufi kalam that I recently heard, and its poetry and music were so divine that I had to share it.

the song can be heard here:

https://www.youtube.com/watch?v=lvHHHWaVd_g


the lyrics of this song are not available online, hence I have heard and typed them here. 


“zar jhukane ki rasm to duniya nibhati hai

maine dil jhuka diya jahan teri yaad aati hai

 

patharon main dhoondte hain log aks khuda ka

mujhe to mere aaine main soorat teri nazar aati hai

yeh ishq nahi ye ibaadat hai meri

har saans main ab to bas aadat hai teri

 

Kaaba bhi tu hai aur kashi bhi tu hai

meri rooh ki asli talaashi bhi tu hai

bhatakta raha main lafzon ke jaal main

magar khamoshi mein mili vo awaaz bhi tu hai

na main alag hoon, na tu juda hai mujse

ye kaisa rishta hai jo juda hai tujse

 

mita de apni hasti ko agar kuch martaba chahiye

ki dana khaak main milkar gul e gulzaar hota hai

 

main nahi.. bas tu hi tu hai..

yehi sach hai aur yehi guftagoo hai

saqi ne jo di hai vo nazar kaam kar gai

meri veeraan duniya ko... vo shaam kar gayi...

 

bas tu hi tu

sajdah..

sajdah.”


Few particular lines of this song are way too deep, especially the following ones. The reference of holy Kaaba (Islam) and Kaashi (a holy place of Hindu God Shiva) together and amidst that talking of the truth of what a soul really encompasses is beautifully expressed...

"Kaaba bhi tu hai aur kashi bhi tu hai

meri rooh ki asli talaashi bhi tu hai

bhatakta raha main lafzon ke jaal main

magar khamoshi mein mili vo awaaz bhi tu hai

na main alag hoon, na tu juda hai mujse

ye kaisa rishta hai jo juda hai tujse"

 

The lyrics of this song actually include a shayari:

"मिटा दे अपनी हस्ती को अगर कुछ मर्तबा चाहे

कि दाना ख़ाक में मिल कर गुल--गुलज़ार होता है"

which is probably by Allama Iqbal (as per some sources), although other sources show it as anonymous (मिटा दे अपनी हस्ती को अगर कुछ मर्तबा चाहे - शेर)...




No comments:

Post a Comment