Sharing collection of selected shayris that are so beautiful:
1.
किया बादलों में सफ़र ज़िंदगी भर
ज़मीं पर बनाया न घर ज़िंदगी भर
सभी ज़िंदगी के मज़े लूटते हैं
न आया हमें ये हुनर ज़िंदगी भर
मोहब्बत रही चार दिन ज़िंदगी में
रहा चार दिन का असर ज़िंदगी भर
— Anwar Shaoor
2.
"itna bikhra hoon ki ikhatta nahin hone wala
ab tujhe choo ke bhi acha nahin hone wala
zindagi khol de zanjeer mere paanv ki
mujhse ab aur tamasha nahin hone wala
itna royi hai tere hijr mein zindaa ankhein
ab kisi laash pe girya nahin hone wala
dekh chupchaap palat ja mere acche Isa
yeh vo murda hai jo zinda nahin hone wala
dukh yehi hai ki meri saans pe kaabiz huwa shaqs
kuch bhi ho jaye vo mera nahin hone wala"
https://www.instagram.com/reel/DbF7059gzmG/
-------------
3.
"dil itna kho gaya araishon mein
teri khwahish nahin khwahishon mein
hamari rooh ghut ke mar gayi hai
hamare jism ki gunjaishon mein
hum apne qatl ka zimma kise den
hai saara shehr hi farmaishon mein
teri yaadein hain aur ansoon hamare
chitayein jal rahi hain baarishon mein"
--Ibrahim Ali Zeeshan
4.
“marti huyi zameen ko bachana pada mujhe
baadal ki tarah dasht mein aana pada mujhe
vo kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen
phir yoon huwa ki mar ke dikhana pada mujhe
us ajnabi se haath milaane ke vaaste
mehfil mein sabse haath milana pada mujhe
bhoole se meri samt koi dekhta na tha
chehre par ek zakhm lagana pada mujhe..”
-Hassan Abbasi
https://www.instagram.com/reel/DWo1OkMDNNy/
5.
"agar barsaat ka mazaa lena chahte ho
to in ankhnon mein aa baitho
vo barson mein kai baar barasti hain
ye barson se baras rahi hain..."
6.
हासिल हुई है रोशनी आँखों को हार कर
मंज़र कसे है दीद ने उम्मीद मार कर
जितनी हमें मिली है ज़रूरत से कम मिली
देखी है हमने ज़िंदगी अब तक गुज़ार कर
बिखरा पड़ा है जिस्म का सामान जिस्म में
हमने बस एक दिल ही रखा है सँवार कर
सच जानते हुए भी भरम पालता हूँ मैं
रोकेगा कोई अजनबी मुझको पुकार कर.
---- प्रिन्स जैन “पीयूष
7.
"दिल मोहब्बत में मुब्तला हो जाए
जो अभी तक न हो सका हो जाए
तुझ में ये ऐब है कि ख़ूबी है
जो तुझे देख ले तिरा हो जाए
ख़ुद को ऐसी जगह छुपाया है
कोई ढूँढे तो लापता हो जाए
मैं तुझे छोड़ कर चला जाऊँ
साया दीवार से जुदा हो जाए
बस वो इतना कहे मुझे तुम से
और फिर कॉल मुंक़ता' हो जाए
दिल भी कैसा दरख़्त है 'हाफ़ी'
जो तिरी याद से हरा हो जाए"
-Tehzeeb Haafi
8.
"na haath milaya na gale mile,
na mayassar aapki deed huyi
ab aap hi bataiye jaana
ye Qayamat hui ki Eid huyi?"
https://www.instagram.com/reel/DWHJH0CiN-d/
----------------------------------------------------------------------------
9.
"rok dena janaze ko mere agar uska ghar aa jaaye
kya pata vo khidki se dekhe aur mera dil dhadak jaaye"
https://www.instagram.com/reel/DaRu7ekxNfM/
------------------------------------------------------------------------------
10.
"khud apni ki qabron mein utar kyun nahi jaate
zinda hi nahin log to mar kyun nahi jaate
jab toot gaye hain to bikharna hai zaroori
jab toot gaye hain to bikhar kyun nahi jaate.."
-Azhar Iqbal
11.
"zindagi beshumaar raste hain
khud ko mujhse guzaar raste hain
ek rasta hai sirf masjid ko
maikade ko hezaar raste hain
qafila mar raha hai sunne ko
bol de shah-sawaar raste hain
ishq ne hi kahan tha Musa ko
ho jaa darya ke paar raste hain
is ilaake main ek shayar hai
isliye saugawaar raste hain"
-Ahmed Abdullah
https://www.instagram.com/reel/DUGJiSjiPw6/
-------------------------------------------------------
12.
"sab pochote hain ki tu itna khaamosh kyun hai
kaash koi yeh bhi poochta ki tujh pe kya beeti hai..."
https://www.youtube.com/shorts/yfqeSJMZTvs
"vahi nasha purana chahta hoon
tumhe paakar bhulana chahta hoon
mere andar to sab bikhra pada hai
magar mausam suhana chahta hoon
vo reh reh kar rawana ho raha hai
jise yekdum gavana chahta hoon
samundar mein vo gehraai nahin hai
main jitna doob jaana chahta hoon
tumhe apni kami mehsoos ho to
main tumko yaad aana chahta hoon.."
https://www.instagram.com/reel/DaQHumUzLOa/