Continuing to share the collections of beautiful shayaris from various sources online...
1.
"ik nazar kaash meri samt vo aise dekhe
jaise ghar se mujhe jaate huye maa dekhti hai
hum kisi khasta haveli ki tarah hai hammad
ittefaqan hi koi aankh yahan dekhti hai.."
https://www.instagram.com/reel/DTFN65LDJQZ/
2.
"mere lafzon se na kar mere kirdaar ka faisla
tera wajood mit jayega meri haqeeqat dhoondte dhoondte"
https://www.instagram.com/reel/DWgpvgRkipx/
3.
"badi shifa hai tere ishq mein,
jabse huwa hai koi doosra dard nahin hota.."
https://www.youtube.com/shorts/J5OLBXxm1u0
4.
"rukawatein to zinda logon ke liye hain
mayyat ko to bade adab se rasta dete hain log"
https://www.instagram.com/reel/DYI1Q21zF-g/
5.
"Dil Use Jab Bhulane Lagta Hai
Kitna Kuch Yaad Aane Lagta Hai
ro to paata nhai mere dukh par
ped patte girane lagta hai
-Mahboob Kashmiri
6.
sehra main har kisi se nahi hote moujze..
vo aediyan bhi hain jinhe zam zam nahi mila
-Jaani Lakhnavi
https://www.instagram.com/reel/DX3sRMTh9Ue/
7.
"kon zyada bebas hai
ye kinara.. jo chal nahi sakta
ya fir ye lehrein
jo theher nahi sakti"
https://www.instagram.com/reel/DNsseC_5I8t/
8.
koī miltā hai to ab apnā pata pūchhtā huuñ
maiñ terī khoj meñ tujh se bhī pare jā niklā
mujh se chhuptā hī rahā tū mujhe āñkheñ de kar
maiñ hī parda thā uthā maiñ to tamāshā niklā
tod kar dekh liyā āaīna-e-dil tūne
terī sūrat ke sivā aur batā kyā niklā
- Muzaffar Warsi
9.
ये वहम जाने मेरे दिल से क्यूँ निकल नहीं रहा
कि उस का भी मिरी तरह से जी सँभल नहीं रहा
कोई वरक़ दिखा जो अश्क-ए-ख़ूँ से तर-ब-तर न हो
कोई ग़ज़ल दिखा जहाँ वो दाग़ जल नहीं रहा
मैं एक हिज्र-ए-बे-मुराद झेलता हूँ रात दिन
जो ऐसे सब्र की तरह है जिस का फल नहीं रहा
तो अब मिरे तमाम रंज मुस्तक़िल रहेंगे क्या?
तो क्या तुम्हारी ख़ामुशी का कोई हल नहीं रहा?
कड़ी मसाफ़तों ने किस के पाँव शल नहीं किए?
कोई दिखाओ जो बिछड़ के हाथ मल नहीं रहा
- Jawwad Sheikh
No comments:
Post a Comment