Showing posts with label urdu. Show all posts
Showing posts with label urdu. Show all posts

Friday, August 28, 2026

Shayaris Collections from Web-IX

 Sharing collection of selected shayris that are so beautiful:


1.

किया बादलों में सफ़र ज़िंदगी भर

ज़मीं पर बनाया घर ज़िंदगी भर

 

सभी ज़िंदगी के मज़े लूटते हैं

आया हमें ये हुनर ज़िंदगी भर

 

मोहब्बत रही चार दिन ज़िंदगी में

रहा चार दिन का असर ज़िंदगी भर

— Anwar Shaoor

 

2.

"itna bikhra hoon ki ikhatta nahin hone wala

ab tujhe choo ke bhi acha nahin hone wala

 

zindagi khol de zanjeer mere paanv ki

mujhse ab aur tamasha nahin hone wala

 

itna royi hai tere hijr mein zindaa ankhein

ab kisi laash pe girya nahin hone wala

 

dekh chupchaap palat ja mere acche Isa

yeh vo murda hai jo zinda nahin hone wala

 

dukh yehi hai ki meri saans pe kaabiz huwa shaqs

kuch bhi ho jaye vo mera nahin hone wala"

 

https://www.instagram.com/reel/DbF7059gzmG/

-------------

3.

"dil itna kho gaya araishon mein

teri khwahish nahin khwahishon mein

 

hamari rooh ghut ke mar gayi hai

hamare jism ki gunjaishon mein

 

hum apne qatl ka zimma kise den

hai saara shehr hi farmaishon mein

 

teri yaadein hain aur ansoon hamare

chitayein jal rahi hain baarishon mein"

--Ibrahim Ali Zeeshan

 

4.

“marti huyi zameen ko bachana pada mujhe

baadal ki tarah dasht mein aana pada mujhe

 

vo kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen

phir yoon huwa ki mar ke dikhana pada mujhe

 

us ajnabi se haath milaane ke vaaste

mehfil mein sabse haath milana pada mujhe

 

bhoole se meri samt koi dekhta na tha

chehre par ek zakhm lagana pada mujhe..”

-Hassan Abbasi

https://www.instagram.com/reel/DWo1OkMDNNy/

 

 

5.

"agar barsaat ka mazaa lena chahte ho

to in ankhnon mein aa baitho

vo barson mein kai baar barasti hain

ye barson se baras rahi hain..."

 

 

6.

हासिल हुई है रोशनी आँखों को हार कर

मंज़र कसे है दीद ने उम्मीद मार कर

 

जितनी हमें मिली है ज़रूरत से कम मिली

देखी है हमने ज़िंदगी अब तक गुज़ार कर

 

बिखरा पड़ा है जिस्म का सामान जिस्म में

हमने बस एक दिल ही रखा है सँवार कर

 

सच जानते हुए भी भरम पालता हूँ मैं

रोकेगा कोई अजनबी मुझको पुकार कर.

---- प्रिन्स जैनपीयूष

 

7.

"दिल मोहब्बत में मुब्तला हो जाए

जो अभी तक हो सका हो जाए

 

तुझ में ये ऐब है कि ख़ूबी है

जो तुझे देख ले तिरा हो जाए

 

ख़ुद को ऐसी जगह छुपाया है

कोई ढूँढे तो लापता हो जाए

 

मैं तुझे छोड़ कर चला जाऊँ

साया दीवार से जुदा हो जाए

 

बस वो इतना कहे मुझे तुम से

और फिर कॉल मुंक़ता' हो जाए

 

दिल भी कैसा दरख़्त है 'हाफ़ी'

जो तिरी याद से हरा हो जाए"

-Tehzeeb Haafi


8.

"na haath milaya na gale mile,

na mayassar aapki deed huyi

ab aap hi bataiye jaana

ye Qayamat hui ki Eid huyi?"

https://www.instagram.com/reel/DWHJH0CiN-d/


----------------------------------------------------------------------------

9.

"rok dena janaze ko mere agar uska ghar aa jaaye

kya pata vo khidki se dekhe aur mera dil dhadak jaaye"

https://www.instagram.com/reel/DaRu7ekxNfM/

------------------------------------------------------------------------------

10.


"khud apni ki qabron mein utar kyun nahi jaate

zinda hi nahin log to mar kyun nahi jaate

jab toot gaye hain to bikharna hai zaroori

jab toot gaye hain to bikhar kyun nahi jaate.."

-Azhar Iqbal

------------------------------------------------------------------

11.

"zindagi beshumaar raste hain

khud ko mujhse guzaar raste hain


ek rasta hai sirf masjid ko

maikade ko hezaar raste hain


qafila mar raha hai sunne ko

bol de shah-sawaar raste hain


ishq ne hi kahan tha Musa ko 

ho jaa darya ke paar raste hain


is ilaake main ek shayar hai

isliye saugawaar raste hain"


-Ahmed Abdullah

https://www.instagram.com/reel/DUGJiSjiPw6/

-------------------------------------------------------

12.

"sab pochote hain ki tu itna khaamosh kyun hai

kaash koi yeh bhi poochta ki tujh pe kya beeti hai..."

https://www.youtube.com/shorts/yfqeSJMZTvs


---------------------------------------------------------

13.

"vahi nasha purana chahta hoon

tumhe paakar bhulana chahta hoon


mere andar to sab bikhra pada hai

magar mausam suhana chahta hoon


vo reh reh kar rawana ho raha hai

jise yekdum gavana chahta hoon


samundar mein vo gehraai nahin hai

main jitna doob jaana chahta hoon


tumhe apni kami mehsoos ho to

main tumko yaad aana chahta hoon.."


https://www.instagram.com/reel/DaQHumUzLOa/

 

 

Tuesday, May 19, 2026

Shayaris Collections from Web-VIII

 

Continuing to share the collections of beautiful shayaris from various sources online...

1. 

"ik nazar kaash meri samt vo aise dekhe

jaise ghar se mujhe jaate huye maa dekhti hai

hum kisi khasta haveli ki tarah hai hammad

ittefaqan hi koi aankh yahan dekhti hai.."

https://www.instagram.com/reel/DTFN65LDJQZ/



2. 

"mere lafzon se na kar mere kirdaar ka faisla

tera wajood mit jayega meri haqeeqat dhoondte dhoondte"

https://www.instagram.com/reel/DWgpvgRkipx/



3.

"badi shifa hai tere ishq mein,

jabse huwa hai koi doosra dard nahin hota.."

https://www.youtube.com/shorts/J5OLBXxm1u0



4.

"rukawatein to zinda logon ke liye hain

mayyat ko to bade adab se rasta dete hain log"

https://www.instagram.com/reel/DYI1Q21zF-g/



5.

"Dil Use Jab Bhulane Lagta Hai 

Kitna Kuch Yaad Aane Lagta Hai 

ro to paata nhai mere dukh par

ped patte girane lagta hai

-Mahboob Kashmiri


6.

sehra main har kisi se nahi hote moujze..

vo aediyan bhi hain  jinhe zam zam nahi mila

-Jaani Lakhnavi

https://www.instagram.com/reel/DX3sRMTh9Ue/



7.

"kon zyada bebas hai

ye kinara.. jo chal nahi sakta

ya fir ye lehrein

jo theher nahi sakti"

https://www.instagram.com/reel/DNsseC_5I8t/



8.

koī miltā hai to ab apnā pata pūchhtā huuñ

maiñ terī khoj meñ tujh se bhī pare jā niklā


mujh se chhuptā hī rahā tū mujhe āñkheñ de kar

maiñ hī parda thā uthā maiñ to tamāshā niklā


tod kar dekh liyā āaīna-e-dil tūne

terī sūrat ke sivā aur batā kyā niklā

- Muzaffar Warsi



9.

ये वहम जाने मेरे दिल से क्यूँ निकल नहीं रहा

कि उस का भी मिरी तरह से जी सँभल नहीं रहा


कोई वरक़ दिखा जो अश्क-ए-ख़ूँ से तर-ब-तर न हो

कोई ग़ज़ल दिखा जहाँ वो दाग़ जल नहीं रहा


मैं एक हिज्र-ए-बे-मुराद झेलता हूँ रात दिन

जो ऐसे सब्र की तरह है जिस का फल नहीं रहा


तो अब मिरे तमाम रंज मुस्तक़िल रहेंगे क्या?

तो क्या तुम्हारी ख़ामुशी का कोई हल नहीं रहा?


कड़ी मसाफ़तों ने किस के पाँव शल नहीं किए?

कोई दिखाओ जो बिछड़ के हाथ मल नहीं रहा

- Jawwad Sheikh


Wednesday, May 6, 2026

Jaane kabse Roohon ka ye jism badalna jaari hai- a deep Urdu poem by an Indian poet

 

Sharing a beautiful Urdu poetry by an Indian Urdu poet. Every line of this poem resonated so deep that I had to post it separately.


"रोज़ सवेरे दिन का निकलना, शाम में ढलना जारी है

जाने कब से रूहों का ये ज़िस्म बदलना जारी है

 

तपती रेत पे दौड़ रहा है दरिया की उम्मीद लिए

सदियों से इन्सान का अपने आपको छलना जारी है

 

जाने कितनी बार ये टूटा जाने कितनी बार लुटा

फिर भी सीने में इस पागल दिल का मचलना जारी है

 

बरसों से जिस बात का होना बिल्कुल तय सा लगता था

एक न एक बहाने से उस बात का टलना जारी है

 

तरस रहे हैं एक सहर को जाने कितनी सदियों से

वैसे तो हर रोज़ यहाँ सूरज का निकलना जारी है"

 

- Rajesh Reddy


Saturday, May 2, 2026

Similar pathos of a few shayaris

 I noticed some similarities in few Urdu shayaris (on ishq/love) that I found very intriguing.  The first pair are from the same poet (Allama Iqbal) but are separate poetries. The second one is from two different poets (one a poet, another a pious scholar).

The pathos in both is so similar and beautiful, hence I thought of sharing them here:


1.

"Ishq teri intehaa, ishq meri intehaa,

Tu bhi abhi na-tamaam, main bhi abhi na-tamaam…"

-Allama Iqbal

 

 

2.

“Tere Ishq Ki Intehaa Chahta Hoon

Meri Saadgi Dekh Kya Chahta Hoon

 

Ye Jannat Mubarik Rahe Zahidon Ko

Ke Mein Aap Ka Samna Chahta Hoon”

 -Allama Iqbal 

Allama Iqbal Poetry کلام علامہ محمد اقبال: (Bang-e-Dra-059) Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun



The second set of similar pathos of the two poetries:


1.

“Chalne ka hausla nahin, rukna muhaal kar diya,

Ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diya."

-Parveen Shakir

 

 

2.

“muhabbat kya hai? dil ka dard se mamoor ho jana,

mata-e-jaan kisi ko saunp kar majboor ho jana.

qadam hain raah-e-ulfat mein to manzil ki hawas kesay?

yahan to ain manzil hai thakan se choor ho jana.”

-Mufti Taqi Usmani

 


One of my urdu poems...

 

Sharing an Urdu poem, I wrote many years ago. This poem as it stands is deeply personal and has a specific code of sounds/ pattern I have used (based on my style). Anyways, I decided to post this one here on my blog:

 

"Maafi mein tu

Maaenon mein tu


Maahir mein tu

majboor mein tu


Maasoom mein tu

mazaak mein tu


Maazi mein tu,

malaal mein tu,


masroof mein tu

mayassar mein tu


marham mein tu

marhoom main tu


masjid mein tu,

rahMaan mein tu,


Urdu ke itne lafzon 

ki khanak mein tu,

par zindagi mein,

kyu nahin?

Ae Maa,

O ma..


Ikhattar se sattar ka safar 

faqat ek ginti kam hi to hona hai,

Phir bhi, dil hi jaanta hai,

vo safar-e-muhaal kitna hai...”

---Shilpi

S se Shayari.....

 Sharing a poem that I wrote many years ago (probably 8 -9 years ago) here. As this particular poem does not fit a typical Urdu or Hindi poem, I don't think I can include it in my future poetry collection (God willing) in print. The reason being that it's a deeply deeply personal poetry that was written in a very unique and experimental style but also written in some layers hiding emotions in some specific patterns I have used only known to me:).

Anyways, here it is:


"j se jugnu

j se jharokha

j se janaab

j se jamaal

j se jigar

j se jauhar

j se jalwa

j se jazbaat

j se jaan

j se jahaan

j se justaju

j se Junaid

j se jism

j se janaaza

j se judaai

j se jogan

j se jumbish

j se jawaab

j se jaadoo

j se jeet

j se jashn

j se jannah

    j se jaaveda...”

---Shilpi




Sunday, April 26, 2026

Shayaris Collections from Web-VII

 Sharing few more Shayaris from various sources in the collection series:

1.

“Lutf-e-Kalaam Kya Jo Na Ho Dil Mein Dard-e-Ishq
Bismil Nahin Hai Tu To Tarapna Bhi Chor De”

-Allama Iqbal

 

2.

Dukh to har waqt ta'aqub mein raha karte hain
yun panaahon mein kahaan tak koi rah sakta hai
kab talak ret ki diivaar sambhaale koi
wo thakan hai ki mera jism bhi dah sakta hai
ajnabi log naye log paraai galiyaa'n
zindagi aaise qaraain mein kategi kaise
teri chaahat bhi muqaddas teri qurbat bhi bahisht
des parades ki tafriiq ghategi kaise
naa-guziir aaj hua jaise bichhadna tera
kal kisi roz mulaaqaat bhi imkaan mein hai
main ye pairaahan-e-jaa'n kaise badal sakta hun
ki tera haath mere dil ke garebaan mein hai


~ Ahmad Faraz

https://www.instagram.com/reel/DXZPeFXkZ4k/

 

3.

"Mukammal do hi daano'n par yeh Tasbeeh-e-Mohabbat hai
Jo aaye teesra daana yeh Dori toot jaati hai,

Muqarrar waqt hota Mohabbat ki Namazo'n ka
Adaa jin ki nikal jaaye, Qazaa bhe chhoot jaati hai,

Mohabbat ki Namazo'n mein imaamat ek ko saunpo
Isay taknay, Usay taknay se Niyat toot jaati hai

Mohabbat dil ka Sajda hai jo hai Tauheed per qaayam
Nazar k Shirk karne se Mohabbat rooth jati hai.”

-Poet not known

 

4.

"maine duniya se chhupaya to bhot hai tera gham

fir bhi jo kuch meri ankhon se ayaan reh gaya hai

aap tab aate ke jab aatish-e-dard auj pe thi

aap ab aaye hain jab sirf dhuan reh gaya hai"

-Arslan Abbaas

https://www.instagram.com/reel/DXJwGo2iKxw/

 

 5.

"nazar aane wale jo zakhm the,

chalo vo to bhar diye waqt ne

magar unka kaise ilaaj ho

jo lage hai rooh main ghaanv se"

---Murtaza Barlas

https://www.instagram.com/reel/DW3VUTqCXSS/

 

6.

"jahaan main koi bhi kandha nahi mila

so hum ba-roz-e-hashr khuda se lipat ke royenge"

(exact source of sher not known)

https://www.instagram.com/reel/DWtLlptjQBr/

 

 7.

"ek din marne ke liye

zindagi bhar mar mar ke

jeena padta hai"

https://www.youtube.com/shorts/9XcWxzcX24w

 

8.

"ek muddat se apne kaam pe hoon,

jaise zinda hi tere naam pe hoon

ishq ka aakhri maqam hai mawt,

aur main aakhri maqam pe hoon"

https://www.youtube.com/shorts/JFWDVf42Yfg

 

 9.

"ae mere naaz se pale huye dil

itne haadson ke bawajood yeh jo tum bahaal ho

kamaal ho…"

https://www.instagram.com/reel/DWoe8KwEwYn/

 

 10.

“Zindagi ke saare mehenge sabak

Hamesha saste log hi sikhate hain”

(166) जिंदगी के सारे महंगे सबक। #2lineshayari #shayrisafar #poetry - YouTube

 

 11.

 "ab kya sunaiye apko hum apni aapbeeti

khair manaiye aap ki aap par vo nahi beeti"

(166) अब क्या सुनाएं आपको अपनी..Best Podcast Shayari #shorts #ytshorts #new #podcast #shayari - YouTube

 

12.

"koi kya lagayega meri bardaasht ka andaaza

maine mar jaane jaisa waqt bhi jeekar guzara hai"

(166) क्या लगाएगा मेरी बर्दाश अंदाज़ा..Best Podcast Shayari #shorts #ytshorts #new #podcast #shayari - YouTube

 

 13.

 "sharmindgi main umr basar kar rahe hain hum

ye kaam tha tumhara magar kar rahe hain hum

aise bhatak rahe hain tumhari talaash main

duniya samajh rahi hai safar kar rahe hain hum"

- Ibrahim Ali

https://www.instagram.com/reel/DXb4ij0iD3Z/

 


 14.

"kon sunta hai bina baat ke taane chupchaap

par ye aadat mere andar meri maa se aayi hai"

-Ibrahim Ali

https://www.instagram.com/_ibrahimali_7/reel/DXPEIoBCJ1G/


15.

"kya shikayat karu logon ke bichad jaane ki,

mujhko maine bhi kai baar akela chhoda hai..."

-Ibrahim Ali

https://www.instagram.com/reel/DXTbQH2AXYo/

 

 16.

जिस समंदर को मेरा दर्द का एहसास नहीं,

मिलने भी आया तो कह दूँ कि प्यास नहीं।

-Sarwar Khan

 

 17.

"jab tak kisi deewaar se dhakka nahin laga

tab tak main apne aapko andha nahi laga

aankhon ko intezaar main chashme lage magar

khidki pe aaj tak koi parda nahi laga

ek aapke na dekhne se mar gaya hoon main

ye dekhkar bhi apko sadma nahi laga

fursat mile to kisi roz aaiye

sadiyon se mere gaanv main mela nahi laga.."

(Exact poet not known)

https://www.instagram.com/reel/DXj8-wVCiWo/

 

18.

"ajeeb zulm karti hai teri yaadein murshid

agar sochoon to bikhar jaun

agar na sochoo to kidhar jaun


ishq ka dastoor hi aisa hai

ki jo isko jaan leta hai

ye usi ki jaan leta hai


main mareez-e-mohabbat hoon

mujhe zaroorat nahin hakeemon ki

agar meri shifa chahte ho to

mujhe mera mehboob la do


khwaab main tera haath pakad kar 

ghanton ghoomta hoon main

aur jaise hi khwaab toot ta hai

sabse pehla apna haath choomta hoon main


jis shaqs se milne ki tamanna thi ek arsey se

kamaal ka shaqs tha aaya bhi to alvida kehne"

-Hafiz Faizon Umar Chishti


https://www.instagram.com/reel/DWVqkLYkxEn/